bas ki mujh se wo sanam in dinon khafa sa hai aankh meri nam si hai dil mera bujha sa hai khwahishon ki bhid mein tu na kho saka kabhi intizar mein tere zakhm-e-dil hara sa hai aansuon ki wo nadi khushk ho chali magar tere dard ka shajar aaj bhi hara sa hai aandhiyon ka gham nahin dhup ka sitam nahin chahaton ke phul ka rang kyun uda sa hai kya yazid-e-waqt ki zad pe hai usul-e-haq shahr-e-jaan mein har taraf shor-e-karbala sa hai wo meri haqiqaten kar hi deta hai ayan yani tera husn bhi koi aaina sa hai jis tarah bhi chahiye aap lutf uthaiye dard ka fasana bhi qissa-e-wafa sa hai us ke pa-e-naz par kyun na kham karun jabin meri chashm-e-shauq mein wo sanam khuda sa hai us ke sae sae hi kat rahi hai zindagi harf harf wo tera dhup mein ghata sa hai