kahi sab ki sununga an-suni karta rahunga

kahi sab ki sununga an-suni karta rahunga
jo mere ji mein aaegi wahi karta rahunga

hansi mein dosti ya dushmani karta rahunga
yahi karta raha hun aur yahi karta rahunga

naya chehra muqabil us ke hoga har jihat se
main us ke aaine ko hairati karta rahunga

badal jaega mera ghar bhi sahra mein kisi din
agar main dasht hi mein zindagi karta rahunga

mana lunga use jangah mein khud qatl ho kar
main apne bhai ko kab tak dukhi karta rahunga

qasida ghair ka likh kar koi inam le lun
main apni madh-khwani phir kabhi karta rahunga

karega kaun shahi sahiri sahib-qirani
agar main umr bhar shahzadagi karta rahunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close