bas koi aisi kami sare safar mein rah gai jaise koi chiz chalte waqt ghar mein rah gai kaun ye chalta hai mere sath be-jism-o-sada chap ye kis ki meri har rahguzar mein rah gai gunjte rahte hain tanhai mein bhi diwar-o-dar kya sada us ne mujhe di thi ki ghar mein rah gai aur to mausam guzar kar ja chuka wadi ke par bas zara si barf har sukhe shajar mein rah gai raat dariya mein phir ek shoala sa chakraata raha phir koi jalti hui kashti bhanwar mein rah gai raat bhar hota raha hai kin khazanon ka nuzul motiyon ki si jhalak har barg-e-tar mein rah gai laut kar aae na kyun jate hue lamhe 'adim' kya kami meri sada-e-be-asar mein rah gai