chal diya wo dekh kar pahlu meri taqsir ka dusra rukh us ne dekha hi nahin taswir ka baqi sare khat pe dhabbe aansuon ke rah gae ek hi jumla padha main ne teri tahrir ka tu ne kaise lafz honton ki kaman mein kas liye itna gahra ghaw to hota nahin hai tir ka uzr baqi chaal mein hai qaid go baqi nahin panw aadi ho gaya hai is qadar zanjir ka aa gai kashti bhatak kar aab se su-e-sarab bhar gaya reg-e-rawan se jal mahi-gir ka baat chhoti to nahin tujh se bichhadne ki hai baat faisla taslim kar lun kis tarah taqdir ka yar logon ne use katba bana dala 'adim' aakhiri patthar bacha jo umr ki tamir ka doston se bhi talluq ban gaya hai wo 'adim' jo talluq hai kisi shamshir se shamshir ka zahr ki aankhon mein raushan suraten do hain 'adim' shakl ek suqraat ki aur ek chehra hir ka