bas tamanna hai ishq-e-maula mein

bas tamanna hai ishq-e-maula mein
ki marun main yahi tamanna mein

ishq-e-khuban nahin hai aisi shai
bandh kar rakhiye jis ko pudiya mein

rukh-e-afshan mein tere aalam-e-nur
nam qamar mein hai nam surayya mein

yad-e-baiza ka hai khayal aata
dekh mehndi tere kaf-e-pa mein

tere bimar-e-hijr ai mahbub
na to moti mein hain na ahya mein

wahdahu-la-sharik-la hai tu
tujh sa duniya mein hai na uqba mein

tujh ko kyun kar kahen hum harjai
nur to jalwa-gar hai har ja mein

kya kahun din ko kis qadar roya
raat dilbar ko dekh ruya mein

ishq lagte hi ho gaya malum
haal-e-majnun ishq-e-laila mein

maraz-e-ishq husn-e-khuban ka
marg darman hai nam hukama mein

hasil-ul-amr hum hue badnam
ishq husn-e-butan-e-zeba mein

rukh-e-yusuf se rukh mushabah hai
lab hain milte lab-e-masiha mein

aab-e-baran se gir na pae madad
khak pad jae chashm-e-dariya mein

ye dua haq se hai mera 'matam'
dafn ho karbala-mualla mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close