zindagi kaise kisi marhale par Thahri rahe

zindagi kaise kisi marhale par thahri rahe
yani chalti bhi rahe sans magar thahri rahe

ishq ki rasm na badle kisi aashiq ke liye
rah-rau chalte rahen rahguzar thahri rahe

waqt khud hi hamein sikhlaega aadab-e-sukhan
lab-e-nashad pe khamoshi agar thahri rahe

bagh-e-imkan ke manazir ka bulawa hai hamein
kab tak ulfat ke dariche pe nazar thahri rahe

hum khushi ke liye andar bhi jagah rakhte hain
us ki marzi hai jidhar chahe udhar thahri rahe

ye siyah-bakht shab-e-ranj kabhi khatm na ho
aur meri aankh mein ummid-e-sahar thahri rahe

dil ke bahlane ko ye harf-e-tasalli kyunkar
ab tere laut ke aane ki khabar thahri rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close