bas tera ism munajat mein rakkha hua hai gardish-e-waqt ko auqat mein rakkha hua hai ye tere adl-o-musawat mein rakkha hua hai tu ne to ajr bhi darjat mein rakkha hua hai ab mujhe ja ke har ek dar pe sada deni hai jab mera rizq hi khairaat mein rakkha hua hai apni har baat pe hota hai wilayat ka guman ishq ne kaise tilismat mein rakkha hua hai tu ne jo aakhiri maktub mujhe bheja tha main ne ek umr se barsat mein rakkha hua hai raunaq-e-shahr kabhi ras nahin aai 'zaki' dil ko bahla ke mazafat mein rakkha hua hai