ghazal ko gardish-e-ayyam se nikalte hain

ghazal ko gardish-e-ayyam se nikalte hain
use na hone ke ibham se nikalte hain

ye log kyun teri takzib karte hain jabki
hazar kaam tere nam se nikalte hain

ye sher hain hamein khairaat mein nahin milte
kabhi dhuen se kabhi jam se nikalte hain

tujhe khabar hi nahin hai ki hum visal ki fal
kabhi sahar se kabhi sham se nikalte hain

khudaya dasht-e-safar khatm kyun nahin hota
suragh-e-rah to har gam se nikalte hain

ab intizar yahi hai ki kab hamare imam
hamein musibat-o-alam se nikalte hain

kuchh aur kaamon mein dil ko laga ke dekhen 'zaki'
ise tilism-e-shafaq-fam se nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close