bas tere bare mein socha karta hun yun tanhai ko main tanha karta hun ek achchhai mujh mein ab bhi hai baqi jhagde wali baat ko tala karta hun hath utha kar mujh ko kya mil jaega shair hun lafzon se mara karta hun dhoka deta hai jab bhi koi mujh ko main us pal khud par hi ghussa karta hun bap banega beta samjhega tab wo aadhi roti ko kyon aadha karta hun