hangama-KHez dawa-e-mansur ho gaya

hangama-khez dawa-e-mansur ho gaya
lab ham-nawa-e-khatir-e-maghrur ho gaya

bazm-e-khayal-e-yar mein hai mahw-e-arzu
mujh se mera khayal bahut dur ho gaya

mitna tha kab tarawish-e-zakhm-e-jigar ka rang
han riste riste zakhm se nasur ho gaya

tha jalwa-gah-e-yar mera daman-e-nigah
jis zarre par nigah padi tur ho gaya

bas ai sukun-e-yas ziyaada sitam na kar
wo iztirab-e-shauq to kafur ho gaya

nakaami-e-azal ki sitam-raniyan na puchh
main apne ikhtiyar se majbur ho gaya

uf iztirab-e-shauq ki hasrat-faroshiyan
husn-e-haya-parast bhi majbur ho gaya

main aur ye sarnawisht-e-malamat ki ja nahin
main us ke intikhab se majbur ho gaya

hangama-ha-e-ghalghala-e-ma-o-man na puchh
'bekhud' bhi apne ahd ka mansur ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close