bas tere liye udas aankhen uf maslahat na-shanas aankhen be-nur hui hain dhire dhire aain nahin mujh ko ras aankhen aakhir ko gaya wo kash rukta karti rahin iltimas aankhen khwabida haqiqaton ki mari pamal aur bad-hawas aankhen darpesh junun ka marhala aur faqa hai badan to pyas aankhen