aks ki kahani ka iqtibas hum hi the aaine ke bahar bhi aas-pas hum hi the jab shuur-e-insani rabte ka pyasa tha harf-o-saut ilm-o-fan ki asas hum hi the faslon ne lamhon ko muntashir kiya to phir etibar-e-hasti ki ek aas hum hi the muqtadir mohabbat ki shikwa-sanj mahfil mein khamushi ko apnae pur-sipas hum hi the khwab ko haqiqat ka rup koi kya deta munakis tasawwur ka inikas hum hi the