bas teri had se tujhe aage rasai nahin di main ne gali to koi ai mere bhai nahin di mujhe har fikr se aazad samajhne wale mere mathe ki shikan tujh ko dikhai nahin di dil mein ek shor utha hath chhudane se tere der tak phir koi aawaz sunai nahin di phul kadhe hain mere talwon pe wahshat ne meri tapte sahra ne mujhe aabla-pai nahin di ek-duje se yun wabasta hue hum donon main ne chaha nahin us ne bhi rihai nahin di wasl aaya tha tere hijr ka sauda karne ishq ki hum ne magar pahli kamai nahin di hath kya soch ke khincha hai sitam se us ne main ne zakhmon ki to 'zishan' duhai nahin di