isi dar se isi diwar se aage nahin badhta ye kaisa pyar hai jo pyar se aage nahin badhta hamari khwahishen izhaar ki had tak nahin jatin hamara hausla didar se aage nahin badhta hamari zindagi mein ek susti si musalsal hai hamara khun is raftar se aage nahin badhta kisi ke hath se pi kar kisi ko bhul jate hain hamara dard is mear se aage nahin badhta hamari zindagi logon mein rah kar bhi akeli hai hamara rasta bazar se aage nahin badhta ajab ek qaht hai us aankh mein tere hawale se chhalak kar ashk bhi rukhsar se aage nahin badhta hamari justuju hai hum tere iqrar tak pahunchen hamara khwab ek inkar se aage nahin badhta hamari soch teri gard-e-pa ko chhu nahin sakti hamara zehn is aazar se aage nahin badhta hamari aarzu 'zishan' puri hi nahin hoti hamara masala akhbar se aage nahin badhta