bas tishnagi thi gahre samundar mein kuchh na tha us ke siwa hamare muqaddar mein kuchh na tha kuchh ishq ki nazar ne tera kaam kar diya warna kamal husn ke paikar mein kuchh na tha sab kuchh luta diya tha teri rah mein faqat iman ke alawa mere ghar mein kuchh na tha raste ki thokaron se wo manzil ko pa gaya kaise kahun ki rah ke patthar mein kuchh na tha dard-o-alam mila na khushi hi hui nasib shayad meri wafa ke muqaddar mein kuchh na tha roya tamam umr wo shabnam ke sath sath phir kyon kahun ki dard-e-gul-e-tar mein kuchh na tha sunte the bhai bhai ka dushman hai par 'qamar' dekha to aisa shahr-e-sitamgar mein kuchh na tha