chahta jaisa hun waisa nahin hone deta

chahta jaisa hun waisa nahin hone deta
aaina mujh ko akela nahin hone deta

ek rishta hai bahut din se taaqub mein mere
mera saya mujhe tanha nahin hone deta

parda-e-shab se nikalne ka nahin leta nam
aaj suraj hi sawera nahin hone deta

isi ek bund mein khud dub na jae wo kahin
ek qatre ko jo dariya nahin hone deta

ye rawayya hai bahar-haal mohabbat ki dalil
zakhm deta hai to gahra nahin hone deta

baal-o-par mujh ko mayassar to kiye hain us ne
is tabiat ko parinda nahin hone deta

roz milta hai 'qamar' tut ke mujh se lekin
apne andar koi dar wa nahin hone deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close