bas yahi to muddaa hai aap ke irshad ka 'shad' kis ne nam rakkha aashiq-e-nashad ka lijiye hazir hai nazrana dil-e-nashad ka talna aasan na tha kuchh aap ke irshad ka barq samjha hai jise sara zamana dekhiye aasman par chadh gaya lachha meri fariyaad ka hashr se ishq-e-nihan ki aur shohrat ho gai ek aalam qissa-khwan nikla meri rudad ka be-talluq ho ke rahna bagh-e-alam mein muhaal pa-ba-gul hona to dekho sarw se aazad ka baghban sayyaad gulchin sab ke sab dekha kiye aashiyan ujda kiya ek khanaman-barbaad ka tark-e-ulfat par jo main zinda raha ghabra gae dhundte hain ab naya pahlu koi bedad ka zikr-e-dushman par mujhe jhutlane wale phir tu kah tum ho muztar kya bharosa hai tumhaari yaad ka garmi-e-dagh-e-jigar se mom ho kar bah gaya tum usi khanjar ko samjhe the ki hai faulad ka aankh se kuchh ho ishaara kuchh tabassum lab pe ho 'shad' karna kuchh nahin mushkil dil-e-nashad ka teri sab sunte hain meri koi sunta hi nahin kis se roun ja ke ab dukhda teri bedad ka 'shad' yakta-e-jahan hai aap ke sar ki qasam dekh lena ja-nashin hoga yahi ustad ka