hunar-mandi se jine ka hunar ab tak nahin aaya safar karte rahe tarz-e-safar ab tak nahin aaya ghalat hai tere ashkon mein asar ab tak nahin aaya tujhe rona ai meri chashm-e-tar ab tak nahin aaya hazaron falsafi qabza kiye baithe hain zehnon par mere qabu mein ya-rab mera sar ab tak nahin aaya pada rahta hai har dam khauf ka saya rag-e-jaan par koi be-khauf lamha be-khatar ab tak nahin aaya hamare sar pe hai saya-fagan ummid ka suraj hamari rah mein koi shajar ab tak nahin aaya hamein to qafiya-paimai karna bhi nahin aata bada fan hai jo aa jata magar ab tak nahin aaya wo kahte hain duaen ba-asar hoti hain 'khalid' ki main kahta hun koi zer-e-asar ab tak nahin aaya