bas yunhi ek wahm sa hai waqia aisa nahin aaine ki baat sachchi hai ki main tanha nahin baithiye pedon ki utran ka alaw tapiye barg-e-sozan ke siwa darwesh kuchh rakhta nahin uf chatakhne ki sada se kis qadar darta hun main kitni baaten hain ki danista jinhen socha nahin apni apni sab ki aankhen apni apni khwahishen kis nazar mein jaane kya jachta hai kya jachta nahin chain ka dushman hua ek masala meri taraf us ne kal dekha tha kyun aur aaj kyun dekha nahin ab jahan le jae mujh ko jalti-bujhti aarzu main bhi is jugnu ka pichha chhodne wala nahin kaisi kaisi pursishen 'anwar' rulati hain mujhe ketiyon se kya kahun main abr kyun barsa nahin