khuda jaane zaban par aaj kis kafir ka nam aaya mohabbat jhum jhum utthi mashiyyat ka salam aaya adab ai aarzu-e-shauq waqt-e-ehtiram aaya junun ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya tariq-e-ishq mein aksar ek aisa bhi maqam aaya qadam uthne nahin pae ki manzil ka salam aaya maze ke sath guzra hun mohabbat ki manazil se kabhi apna maqam aaya kabhi un ka maqam aaya wo lamha bhi kisi ki anjuman mein kya qayamat tha nigahon ki zaban mein dil ko jab dil ka payam aaya yakayak aur dil ki dhadkanon ka tez ho jaana sanbhal ai ishq phir shayad koi nazuk maqam aaya shaguft-e-dil hi ke dam tak thi rang-o-bu ki duniya bhi na phir koi kali chatki na phir koi payam aaya badal kar rah gain ai 'arzu' qismat ki tahriren ye kis ke dast-e-nazuk se mere hathon mein jam aaya