bas zara der se ehsas hua tha mujhko

bas zara der se ehsas hua tha mujh ko
wo bhi meri hi tarah soch raha tha mujh ko

ye hi ek shakhs bhatakta hai jo sahra sahra
ek din shahr-e-tamanna mein mila tha mujh ko

main to maujud tha har dam tere afsane mein
mere rawi ne magar mar diya tha mujh ko

main ne jab us ko bataya to zara abr chhata
us ne auron ki zabani hi suna tha mujh ko

aur phir kah hi diya main ne bhi ek din aamin
wo duaon mein bahut mang raha tha mujh ko

ho na ho wo pas-e-diwar abhi hai maujud
raushni ka abhi ehsas hua tha mujh ko

ye na socha tha ki is ranj pe hona hai tamam
khatm hona hai talluq ye pata tha mujh ko

ye jo pathrai si aankhen hain usi shakhs ki hain
jis ne raste mein kabhi chhod diya tha mujh ko

ikhtiyar us ka hawaon pe nahin tha 'tariq'
us ne dahliz pe raushan to kiya tha mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close