'mir' ka soz-e-bayan ho to ghazal hoti hai 'dagh' ka lutf-e-zaban ho to ghazal hoti hai dil to roe magar aankhon mein tabassum jhalke ye agar rang-e-fughan ho to ghazal hoti hai dost ki yaad mein jazbaat pe aata hai nikhaar hijr ki raat jawan ho to ghazal hoti hai yak nafas-soz se mumkin nahin takmil-e-ghazal har-nafas shoala-ba-jaan ho to ghazal hoti hai han uchatti si nazar bhi hai koi chiz magar yahi nashtar rag-e-jaan ho to ghazal hoti hai sadiq-ul-ishq hi ye nukta samajhte hain 'sahab' husn dil ka nigaran ho to ghazal hoti hai