basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai khuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai bayan main kya karun us ke shabistan ka ta'al-allah qaza-o-qadr jis ke jashn ka ab kar-farma hai sakhawat mein koi ham-sar na ho us ka zamanae mein wahi karta hai pura jis ke dil mein jo irada hai khizar ki umr ho us ki tasadduq se aimma ke nizam-ud-daula aasaf-jah jo sab ka masiha hai bahi-khwan-e-karam se hai sada ummid 'chanda' ko kisi ki bhi na ho muhtaj tum se ye tamanna hai