tu apni zat ke zindan se gar rihai de to mujh ko phir mere ham-zad kuchh dikhai de bas ek ghar ho khudai mein kaenat meri mere khuda mujhe itni badi khudai de main us ko bhulna chahun to gunj ki surat wo mujh ko ruh ki patal mein dikhai de bujha chuka hai zamana charagh sab lekin ye mera ishq ki har rasta dikhai de hamare shahr ke saudagaron ki mahfil mein wo ek shakhs ki sab se alag dikhai de use ghurur ata hai koi to ab aae jo us ke dast mein bhi kasa-e-gadai de palat bhi sakti hun 'iman' fana ki rahon se agar koi mujhe us nam ki dahai de