basar hona bahut dushwar sa hai

basar hona bahut dushwar sa hai
ye shab jaise kisi ki bad-dua hai

andhere mod par mujh sa hi koi
na jaane kaun hai kya chahta hai

ek aisa shakhs bhi hai bastiyon mein
hamein hum se ziyaada jaanta hai

panahen dhundne nikli thi duniya
sawa neze pe suraj aa gaya hai

abhi tak surkh hai mitti yahan ki
jahan main hun wo shayad karbala hai

khushi ki lahr daudi dushmanon mein
wo shayad doston mein ghir gaya hai

kai din ho gae hain chalte chalte
khuda jaane kahan tak rasta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close