hai dhup-chhanw ki manind zindagi meri sabaat-e-gham ko nahin aarzi khushi meri usi ko ab meri har baat zahr lagti hai kabhi pasand na thi jis ko khamushi meri teri nazar ka sahaara bada sahaara tha jahan mein kar na saka koi hamsari meri kabhi gunah kabhi hasrat-e-gunah ka gham tamam karb-e-musalsal hai zindagi meri main dil ka haal usi ko sunata rahta hun chhupi na jis se koi baat an-kahi meri main misl-e-kirmak shab-tab jalta rahta hun kisi ke kaam to aaegi raushni meri jo mere khadsha-e-farda pe khanda-zan hain 'khalish' meri dua hai mile un ko aa gai meri