basarat kho gai hai raushni mein

basarat kho gai hai raushni mein
maza aane laga hai tirgi mein

sarabon se sarabon ke safar tak
tadap badhti gai hai tishnagi mein

ye dera jogiyon ka hai yahin par
milega kho diya jo zindagi mein

mukhatib tum se hun main kuchh to bolo
kategi raat kya bechaargi mein

dua ke baad patthar bhi milenge
yahi to lutf hai diwangi mein

teri chahat mein jo kuchh pa liya hai
nahin hasil hua wo bandagi mein

nahin pahchanta mujh ko mera ghar
bana hun ajnabi aawargi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close