baat ki baat rahe baat ka mafhum rahe

baat ki baat rahe baat ka mafhum rahe
aur takhayyul mera taza rahe masum rahe

har nai soch ko mazmun bana lunga magar
mera kirdar meri zat se mausum rahe

meri pahchan ke sab log juda hote gae
jo bache meri tarah bebas-o-mazlum rahe

aaj tak bante rahe hain jo hamare zamin
un se hum hath milane se bhi mahrum rahe

ab to bas khud hi suna karte hain apni aawaz
aap ke qadmon ki aahat se bhi mahrum rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close