basaraton pe bhanwar inkishaf karta hai

basaraton pe bhanwar inkishaf karta hai
ki bulbule ka samundar tawaf karta hai

ajib bhul-bhulayyan hai justuju khud ki
har ek naqsh-e-qadam inhiraf karta hai

maza to jab hai ki hum us ko na khuda kar len
hawa ka rukh jo hamare khilaf karta hai

jise gunah ki taufiq hi na ho ta-umr
use khuda na zamana muaf karta hai

lahu ki mar se bachiye ki josh mein aae
to qatra qatra badan mein shigaf karta hai

bala se rang-e-taghazzul meri ghazal mein nahin
nukila lahja ghutan ko to saf karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close