muqabla hai gham-o-alam ka to samna ranj-o-be-kasi ka

muqabla hai gham-o-alam ka to samna ranj-o-be-kasi ka
rah-e-mohabbat mein har qadam par nishan milta hai zindagi ka

isi mohabbat mein hum pe guzra ek aisa aalam bhi tirgi ka
bana liya aaftab hum ne mila jo zarra bhi raushni ka

yakayak ek huk dil mein utthi palat gaya rang zindagi ka
ba-khair yaadash mere labon par abhi abhi nam tha kisi ka

jahan se dekho fasana-e-gham bani hui iztirab-e-paiham
hon teri nazren bhi jis se barham karenge kya aisi zindagi ka

ye ahd-e-gham ki nahin hikayat thi is se pahle bhi aisi haalat
wahin pe thahri nigah-e-ulfat jo rang dekha shikastagi ka

jo dil pe paiham hai barish-e-gham mohabbaten ho rahi hain mohkam
izafa karta hai zindagi mein jo din guzarta hai zindagi ka

bayan-e-gham ki latafaten hain mohabbaton ki nazakaten hain
wagarna 'ehsas' sach to ye hai saliqa kya mujh ko shairi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close