bashar ki KHu mein salamat rawi nahin shayad

bashar ki khu mein salamat rawi nahin shayad
mite ye nasl to aasuda ho zamin shayad

hun apne zehn ki tarikiyon mein sargardan
suna hai ye ki khuda hai yahin kahin shayad

mere khayal ke khalwat-kade hain dair-o-haram
mere mizaj ke mausam hain kufr-o-din shayad

main us ko dekhunga lekin ek aur aalam mein
main us ko paunga lekin abhi nahin shayad

main chhod aaya masail ke jis jahannum ko
mere nasib ki jannat bhi thi wahin shayad

uthi wo aankh to dil ka suragh bhi na mila
hiran se haar gaya ye subuktagin shayad

adu bhi dost bhi sab hum pe mehrban the bahut
kuchh apne aap se bargashta the hamin shayad

har ek hath mein khanjar dikhai deta hai
ulat rahi hai zamane ki aastin shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close