bazm-e-rang-o-nur mein sahib-nazar koi nahin

bazm-e-rang-o-nur mein sahib-nazar koi nahin
dekhne wale bahut hain dida-war koi nahin

hum ko wirse mein mila hai wo makan ajdad se
jis mein diwaren hi diwaren hain dar koi nahin

har gali kuche mein ab shams-o-qamar bikne lage
ab kharidar-e-charagh-e-chashm-e-tar koi nahin

yun takhayyul mein haqaeq ki milawat ho gai
ab fasanon mein bhi harf-e-mo'tabar koi nahin

main nai manzil ko nikla hun purani rah par
mere hamrahi bahut hain ham-safar koi nahin

ahl-e-dil to khair sab sud-o-ziyan mein pad gae
kya khirad-mandon mein bhi aashufta-sar koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close