bashar ki zat mein shar ke siwa kuchh aur nahin ye baat naqs-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin hayat ki shab-e-tarik khatm hoti hai qaza tulu-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin jo dekhiye to kaf-e-gul-farosh bhi hai hayat ghalat ki daman-e-tar ke siwa kuchh aur nahin guzar ke had se har ek shai bar-aks hoti hai kamal-e-aib-e-hunar ke siwa kuchh aur nahin ye rang jo nazar aata hai chehra-e-gul par hamare khun-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin bashar hai jauhar-e-kirdar se garan-maya guhar mein aab-e-guhar ke siwa kuchh aur nahin nazar-fareb nazare jahan ke ai 'fazil' fareb-e-husn-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin