hayat dhundh raha hun qaza ki rahon mein panah mangne aaya hun be-panahon mein badan mummy tha nazar barf sans kafuri tamam raat guzari hai sard banhon mein ab un mein shoale jahannam ke raqs karte hain base the kitne hi firdaus jin nigahon mein bujhi jo raat to apni gali ki yaad aai ulajh gaya tha main rangin shah-rahon mein na jaane kya hua apna bhi ab nahin hai wo jo ek umr tha duniya ke khair-khwahon mein meri talash ko jis ilm se qarar aae na khanqahon mein pai na dars-gahon mein