basta-lab tha wo magar sare badan se bolta tha bhed gahre paniyon ke chupke chupke kholta tha tha ajab kuchh sehr-saman ye bhi achraj hum ne dekha chhanta tha khak-e-sahra aur moti rolta tha rach raha tha dhire dhire mujh mein nashsha tirgi ka kaun tha jo mere paimane mein raaten gholta tha dar ke mare log the dubke hue apne gharon mein ek baadal sa dhuen ka basti basti dolta tha kanp kanp uthta tha mera main hi khud mere muqabil main nahin to phir wo kis par kaun khanjar taulta tha