phir kya jo phut phut ke khalwat mein roiye yaksar jahan hi ko na jab tak duboiye diwana-war nachiye hansiye gulon ke sath kante agar milen to jigar mein chubhoiye aansu jahan bhi jis ki bhi aankhon mein dekhiye moti samajh ke rishta-e-jaan mein piroiye har subh ek jazira-e-nau ki talash mein sahil se dur shorish-e-tufan ke hoiye