basti mein qatl-e-am ki koshish na ban saka main qatilon ke zehn ki sazish na ban saka koi kami na us mein thi shayad isi liye wo shakhs mere waste khwahish na ban saka main ruk nahin saka to meri bebasi thi ye baadal tha us ke sahn mein barish na ban saka jis par tamam-umr bahut naz tha mujhe mera wo ilm meri sifarish na ban saka kya baat thi wo dil mein mere umr-bhar raha jo shakhs mere ghar ki numaish na ban saka