kahan talash mein jaun ki justuju tu hai kahin nahin hai yahan aur chaar-su tu hai mahaz-e-jang pe khilte nahin hain hath mere main kya karun ki muqabil mera adu tu hai badal gaya hai zamana badal gai duniya na ab wo main hun meri jaan na ab wo tu tu hai kisi ne uth ke yahan se kahin nahin jaana saji hai bazm ki mauzu-e-guftugu tu hai main dekhta hun kise kuchh mujhe nahin malum koi bhi samne aa jae hu-ba-hu tu hai tamam aalam-e-sar-mast hai teri ijad ye mai-kada hai tera sahib-e-subu tu hai teri talab ne rakha inhimak pakiza namaz-e-ishq tere waste wazu tu hai mera gunah bhi shaista-e-tawakkul hai ki tu khuda hai mera aur khair-khu tu hai ye aaine mein koi aur shakhs hai 'asim' ghalat khayal hai tera ki ru-ba-ru tu hai