bastiyan kaise na mamnun hon diwanon ki wusaten in mein wahi lae hain viranon ki kal gine jaenge zumre mein sitam-ranon ke khair mangenge agar aaj sitam-ranon ki khwab baatil bhi to hote hain tan-asanon ke sai-e-mashkur bhi hoti hai giran-jaanon ki zakhm shaki hain azal se namak-afshanon ke baat rakkhi gai har daur mein paikanon ki wo bina saz bhi hote hain gulistanon ke khak jo chhante phirte hain bayabanon ki tukde jo ginte hain tute hue paimanon ke jaan ban jate hain aakhir wahi mai-khanon ki tewar aate hain haqiqat mein bhi afsanon ke kuchh haqiqat bhi hua karti hai afsanon ki ho bhi jate hain rafu chaak-girebanon ke tang bhi hoti hai pahnaiyan damanon ki ibrat-abaad bhi dil hote hain insanon ke dad milti bhi nahin khun-shuda armanon ki zarre zindan-e-malamat bhi hain viranon ke dar bana karti hain diwaren hi zindanon ki