hum hue taswir ab pahla sa wo aalam kahan rang hain sab pairahan mein kho gae hain hum kahan muzmahil hai subh ka shoala dhuan hai dasht par dekhna hai ud ke jati hai magar shabnam kahan dast-e-qatil ke liye honton pe ab bhi marhaba khun-e-ahl-e-dil ki khatir sina-e-matam kahan daman-e-dil mein samete hain abhi tufan kai sail-e-ashk-o-nala-e-gham ho gae hain kam kahan dil dhadakta hai har ek aahat pe ahl-e-hijr ka jaante hain wo ki aaega koi is dam kahan ud ke aata hai ghubar-e-rahguzar aankhon mein phir dhundhta hun kho gaya hai dida-pur-nam kahan