bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai wo jaan-e-arzu wo rahat-e-jaan yaad aata hai pareshan-khatiri had se guzarti hai to wahshat ko kisi ka aalam-e-zulf-e-pareshan yaad aata hai guzarta hai kabhi jab chaudhwin ka chand badli se mahin aanchal mein un ka ru-e-taban yaad aata hai andheri raat mein jugnu chamakte hain to rah rah kar dupatte ke sitaron ka charaghan yaad aata hai ufuq par phailti hain surkhiyan jab subh-e-taza ki koi sina pas-e-chaak-e-gareban yaad aata hai kali ko phul bante dekh kar ahd-e-bahaaran mein koi chehra bahut nau-khez-o-khandan yaad aata hai ghazal jab chhed deta hai koi ahd-e-jawani ki kisi ka jism-e-mauzun-o-ghazal-khwan yaad aata hai wo tufan karwaten leta tha jo ek jism-e-raana mein wo tufan ham-kinari ka wo tufan yaad aata hai wo arman jo kisi ke shokh honton par machalta tha wo arman bosa-e-lab ka wo arman yaad aata hai wufur-e-shauq se khud hath apne chum leta hun wufur-e-shauq mein jab un ka daman yaad aata hai bahut kuchh yaad aata hai 'rais' un ki judai mein magar jaise koi khwab-e-pareshan yaad aata hai