jo samajhna chahiye tha wo kahan samjha tha main is jahan-e-rang-o-bu ko khak-dan samjha tha main waqt ki thokar ne zahir kar diye jauhar mere zindagi ko apni sang-e-raegan samjha tha main us ne bhar di jaan-o-dil mein ek nai tabindagi jis nigah-e-garm ko barq-e-tapan samjha tha main apni hi kotah-dasti ka nikal aaya qusur kal jise be-mehri-e-pir-e-mughan samjha tha main