bataen kya amal ishq-e-haqiqi ka kahan tak hai zamin kya aasman tak hai makan kya la-makan tak hai tayyun se bari ho gar hai la-mahdud ka talib ki hadd-e-mulk-o-duniya to wahin tak hai jahan tak hai na ho aazad daur-e-charkh ki halqa-ba-goshi se tera markuz dil-e-mao-shuma aur in-o-an tak hai to bismillah ke gumbad mein kya hai moatakif zahid sukun-e-khatir-e-muztar hawason se aman tak hai pahunch sakta hai kab sachchi khushi ko aish-e-nafsani ki wo to aab-e-ruknabaad wa ju-e-muliyan tak hai hai shaikh-o-barahman ke din ki had dair-o-kaba tak sawad-e-din-e-ishq-e-be-gharaz kaun-o-makan tak hai yaqin se aur amal se pukhtagi pai aqidat ne pahunch teri to ai nadan bas wahm-o-guman tak hai haqiqat husn ki aaina tujh par kyunki ho jati nazar teri to zulf-o-khal-o-abru-e-butan tak hai jo hain mast-e-alast un ko khumar-o-sukr ka dar kya nigah-e-tishna-kaam-e-ishq hi dast-e-mughan tak hai hasir-e-ishq ko kab dakhl is mahfil mein hai 'kaifi' bisat us ki faqat bain-o-buka aah-o-fughan tak hai