bataen kya tujh ko chashm-e-pur-nam hua hai kya khun aarzu ka bana gul-e-dagh-e-yas-o-hasrat jo dil mein qatra bacha lahu ka dabe jo ghut ghut ke dil mein arman wo barq ban kar falak pe tadpe jo walwala ji mein rah gaya tha wo bulbula ab hai aab-e-ju ka abas hai to chaara-gar-e-pareshan na tujh se kuchh ban padega darman ki ho to tar-e-nafas se saman jarahat-e-dil ke ho rafu ka khula lab-e-gor se ye uqda ki khwab thi sab numud-e-hasti wuquf na-mahrumi-e-manzil kamal hai meri justuju ka na tujh ko mast-e-hawa-e-gulshan khizan mein ai andalib dekha nahin tu shaidai bagh-o-gul ka magar fidai hai rang-o-bu ka use na phir kuchh diya dikhai nazar pada wo jamal jis ko khula haqiqat ka raaz jis par na us ko yara tha guftugu ka hai naf-e-zat aur naskh-e-hasti visal-e-jaanan ki shart-e-awwal bhara manazir se hai jahan sab jo sirf darshan ka tu hai bhuka tilism-e-dair-o-haram hai tujh par hanuz dilli hai dur nadan wahan tera khak dil lagega wo hai sarasar makan hu ka khabar kise subh-o-sham ki hai tainat aur quyud kaise namaz kis ki wahan kisi ko khayal tak bhi nahin wuzu ka nahin muhit-e-rusum-o-millat hai be-nishan manzil-e-haqiqat wahan na simran ki hatkadi hai na tauq-e-zunnar hai gulu ka hain gharq-e-bahr-e-mai-e-mohabbat wahan hai 'kaifi' ye sab ki haalat hai dakhl saqi ki bazm mein kya surahi-o-saghar-o-subu ka