bataen kya ki aae hain kahan se hum kahan ho kar nishan ab dhundte-phirte hain ghar ka be-nishan ho kar lubhane ko dil-e-shaida ke sari parda-dari thi ayan ho tum nihan ho kar nihan ho tum ayan ho kar hamari khak ke zarre fana ho kar bhi chamkenge uruj apna dikhaen ge ye najm-e-asman ho kar dil-e-awara kyun tujh ko khayal ku-e-jaanan hai are nadan kahan ja kar rahega be-nishan ho kar ye daur-e-mai-kashi har-waqt mahw-e-did rakhta hai kahan aankhon mein ye ghaflat rahe khwab-e-giran ho kar musalman ho ke tark-e-but-parasti ai maaz-allah khuda ko hum ne pahchana hai shaida-e-butan ho kar ye bar-e-masiyat manzil kadi aur sham-e-tanhai chale hain kya samajh kar hum bhi ruswa-e-jahan ho kar abhi kya jaane kya kya rang wo ai 'shauq' badlega zamin par ek karega hashr barpa aasman ho kar