bataen kya tumhein khun-e-tamanna roz hota hai miyan chhalni gharibon ka kaleja roz hota hai kabhi kaliyon ki dil-sozi kabhi hai qatl phulon ka tumhin batlao is gulshan mein ye kya roz hota hai yahan muflis ujale ki kiran ko bhi taraste hain magar kahne ko basti mein ujala roz hota hai ye kah do qaidon se ab yahan zahmat na farmaen hamare shahr mein bedar fitna roz hota hai yahan nilam ho jati hai izzat chand sikkon mein ye duniya hai yahan aisa tamasha roz hota hai agar 'darwesh' tum ruswa hue ho to tajjub kya sharifon ki haweli mein to aisa roz hota hai