batao kis tarah pahunche ho shab ko tum thikane par mujhe to kuchh bharosa bhi nahin hai is zamane par batao kaun tha kis ne jala dala tumhaara ghar parinda bhi nazar rakhta hai apne aashiyane par na jaane kis tarah honge yahan haalat behtar ab yahan to sanp baithe hain jidhar dekho khazane par mujhe malum hai mujh ko diya hai zahr tu ne hi bharosa kya karun ab yar tere dostane par ye hum se dushmani teri samajh mein hi nahin aati faqat hum ahl-e-dil hi rahte hain tere nishane par koi aisa fasana tu suna ai ham-safar mujh ko haqiqat ka guman hone lage tere fasane par abhi bhi waqt hai 'zebi' agar chaho to laut aao yahan bhi nam likkha hai tumhaara dane dane par