taza-dam pur-azm shoala-bar din sham ko sabit hua be-kar din zard kirnen sard jhonke gard hum kis tarah katen ye shab-asar din subh ko rahte hain hum falij-zada raat ko milta nahin ayyar din bhuk le kar khwan mein aai hai sham aaega kal tishnagi-bardar din umr yani lash ka lamba safar zindagi ki umr bas do-chaar din raat hi ko chal diya wo qafila ab kurede rakh ka ambar din kis bina par koi samjhauta karen tum numud-e-shab mera izhaar din aap-biti kya likhun kyunkar likhun hain kahan kuchh qabil-e-izhaar din raat bhar is soch mein jaga kiye ab kahan katenge ek be-kar din