bataun kya tumhein kis bojh se daba hua hun main apne nafs ki tahzib mein laga hua hun bisat-e-zist agarche bani hai mere liye magar pita hua mohara bhi main bana hua hun yahan na chhed mere dost zikr-e-mazi ko abhi to logon ki nazron mein parsa hua hun zara sa sabr khulenge mere par-e-parwaz naya naya qafas-e-ishq se riha hua hun kisi ke hath ke daw pe hun rakha hua main kisi ke khwabon ki had se bhi mawara hua hun mujhe na chhed khuda ke liye na chhed mujhe gale talak main sawalat se bhara hua hun main jaanta hun 'qamar' kya maqam hai mera yahan buzurg nahin hain so main bada hua hun