baat ban jaane ka imkan bhi ho sakta hai masala kahne se aasan bhi ho sakta hai aap jis baat ko mamuli samajh baithe hain koi is baat pe hairan bhi ho sakta hai ek sargoshi tanawar bhi to ho sakti hai teri har baat ka elan bhi ho sakta hai gumrahi mein jo meri rahbari ko aaya khud wo bhatka hua insan bhi ho sakta hai pesh-bandi ise tum kahte ho meri lekin ba-khuda ye mera wijdan bhi ho sakta hai tum ne lafzon mein jo tanka hai nagine ki tarah wo kisi aur ka farman bhi ho sakta hai mere raste hi meri tajraba-gahen hain 'qamar' garche in rahon mein nuqsan bhi ho sakta hai